Wednesday, May 12, 2010

Ishq........

tanhaiyon me muskurana ishq hai,
ek baat ko sab se chupana ishq hai,
yu to nind nahi ati hume raath bhar, magar sote sote jagna aur jagte jagte sona ishq hai..........

Sunday, September 20, 2009

Yaad.............

jab bhi khayal aaya to apka aaya
aankhein band ki to khwab aapka aaya
socha yaad karlu khuda ko pal do pal
par honth khule to naam aapka aaya...............

Dosthi.........................

tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
jag bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dosth,
tu dil ke aur bhi kareeb aane laga...................